Haneef Kaifi

har ek kamal ko dekha jo humne ru ba-zawal

Haneef Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1934
har ik kamāl ko dekhā jo ham ne rū ba-zavāl
sisak ke rah ga.ī siine meñ ārzū-e-kamāl
ham apnī Dūbtī qadroñ ke saath Duub ga.e
milegī ab to kitāboñ meñ bas hamārī misāl
hue anā ke dikhāve se log sar afrāz
anā ne sar ko uThā kar kiyā hameñ pāmāl
zarā sī umr meñ kis kis kā hal talāsh kareñ
khaḌe haiñ rāsta roke hue hazār savāl
mire ḳhulūs kā yāroñ ne aasrā le kar
kiyā hai ḳhuub mirī dostī kā istehsāl
bujhā bujhā sā yahī dil hai is shabāb kī raakh
ragoñ meñ dauḌ rahī thī jo ātish-e-sayyāl
mile vo lamha jise apnā kah sakeñ 'kaifī'
guzar rahe haiñ isī justujū meñ māh-o-sāl
Top Urdushayar.com