banā ke toḌtī hai dā.ere charāġh kī lau
bahā ke le ga.ī mujh ko kahāñ shu.ūr kī rau
banā chukā huuñ adhūre mujassame kitne
kahāñ vo naqsh jo takmīl-e-fan kā ho partav
vo moḌ mere safar kā hai nuqta-e-āġhāz
fareb-ḳhurda-e-manzil hue jahāñ rah-rau
larazte haiñ mirī mahrūm-e-ḳhvāb āñkhoñ meñ
bikhar chuke haiñ jo ḳhvāb un ke muntashir partav
bhaTak na jā.ūñ maiñ tashkīk ke andheroñ meñ
laraz rahī hai mirī sham-e-etaqād kī lau
shab-e-darāz kā hai qissa muḳhtasar 'kaifī'
huī sahar ke ujāloñ meñ gum charāġh kī lau