har aks ḳhud ek aa.ina hai
har saaya zabāñ se boltā hai
ehsās kī talḳhiyoñ meñ Dhal kar
dil dard kā chāñd ban gayā hai
suntā ho koī to har kalī ke
khilne meñ shikast kī sadā hai
yuuñ aatī hai terī yaad ab to
jaise koī duur kī sadā hai
goyā the to koī bhī nahīñ thā
ab chup haiñ to shahr dekhtā hai
aajiz hai ajal bhī us ke aage
jo misl-e-sabā bikhar gayā hai
tū silsila-e-savāl ban kar
kyuuñ zehnoñ ke ban meñ gūñjtā hai
qurbat tirī kis ko raas aa.ī
ā.īne meñ aks kāñptā hai
jiite haiñ ravāyatan 'razā' ham
is daur meñ zindagī sazā hai