Raza Hamdani

hai ghanimat ye fareb-e-shab-e-wada ai dil

Raza Hamdani

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1910-1994
hai ġhanīmat ye fareb-e-shab-e-va.ada ai dil
kyā koī degā tujhe is se ziyāda ai dil
muddatoñ jaan chhiḌakte rahe jis lams pe vo
oḌh kar aa gayā ḳhushbū kā labāda ai dil
soch zanjīr-ba-pā fikr hai pāband-e-rasan
kyā yahī sub.h-e-tamannā kā hai jaada ai dil
ab bhī raushan kiye baiThā hai ummīdoñ ke charāġh
kitnā ma.asūm hai tū kitnā hai saada ai dil
ḳhuuñ meñ luThḌe hue lāshe haiñ nuqūsh-e-kaf-e-pā
aur kar manzil-e-jānāñ kā irāda ai dil
ḳhud-farebī kā fusūñ tujh pe hai kaarī varna
kam nahīñ hai shab-e-ġham se shab-e-va.ada ai dil
Top Urdushayar.com