zaḳhm kuchh aise mire qalb-o-jigar ne paa.e
umr bhar jo kisī unvān na bharne paa.e
ham ne ashkoñ ke charāġhoñ se sajā liiñ palkeñ
ki tire dard kī bārāt guzarne paa.e
us se kyā pūchhte ho falsafa-e-maut-o-hayāt
ki jo zinda bhī rahe aur na marne paa.e
is liye kam-nazarī kā bhī sitam sahnā paḌā
tujh pe mahfil meñ koī naam na dharne paa.e
pās-e-ādāb-e-vafā thā ki shikasta-pā.ī
be-ḳhudī meñ bhī na ham had se guzarne paa.e
apne jazbāt ke biphre hue tūfāñ meñ 'razā'
is tarah Duube ki phir ham na ubharne paa.e