sahrā-e-ḳhayāl kā diyā huuñ
vīrāna-e-shab meñ jal rahā huuñ
sāġhar kī tarah se chuur ho kar
mahfil meñ bikhar bikhar gayā huuñ
apne hī lahū kī raushnī meñ
nairañg-e-jahāñ ko dekhtā huuñ
vo chāñd huuñ gardishoñ meñ aa kar
ḳhud apnī nazar se kaT gayā huuñ
har ahd hai mere dam se rañgīn
maiñ naġhma-e-sāz-e-irtiqā huuñ
ā.īna-sifat nazar se terī
aks-e-dar-o-bām ban gayā huuñ
ehsās kī talḳhiyoñ meñ Dhal kar
maiñ dard kā chāñd ban gayā huuñ
sun lo mujhe mai-kada-parasto!
bhīgī huī raat kī sadā huuñ
gulzār meñ rah ke bhī 'razā' maiñ
ḳhushbū ke liye taras gayā huuñ