Raza Hamdani

ye kis maqam pe Thahra hai karwan-e-wafa

Raza Hamdani

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1910-1994
ye kis maqām pe Thahrā hai kārvān-e-vafā
na raushnī kī kiran hai kahīñ na taaza havā
huī hai jab se yahāñ nutq-o-lab kī baḳhiya-garī
sivā.e hasrat-e-iz.hār dil meñ kuchh na rahā
is ehtimām se shab-ḳhūñ paḌā ki muddat se
ujaaḌ sī nazar aatī hai shahr-e-dil kī fazā
tamām umr usī kī talāsh meñ guzrī
vo ek aks jo ā.īna-e-nazar meñ na thā
ye kis ne aaj dabe-pāñv dil meñ aate hī
ḳhayāl-o-fikr kā qufl-e-sukūt toḌ diyā
kuchh is tarah se tirī yaad kī mahak aa.ī
ki jaise dāman-e-sahrā meñ koī phuul khilā
shikast-e-dil pe 'razā' ham bhī TuuT kar ro.e
magar na itne ki so hī sake na ham-sāyā
Top Urdushayar.com