ma.amūra-e-afkār meñ ik hashr bapā hai
idrāk bhī insāñ ke liye turfa balā hai
har naqsh agar terā hī naqsh-e-kaf-e-pā hai
phir mere liye koī sazā hai na jazā hai
hoñToñ pe hañsī sīnoñ meñ kohrām bapā hai
dīvānoñ ne jiine kā chalan siikh liyā hai
ab dasht-e-junūñ bhī jo simaT aa.e ajab kyā
dīvāna koī le ke tirā naam chalā hai
ik baar jo TuuTe to kabhī juḌ nahīñ saktā
ā.īna nahīñ dil magar ā.īna-numā hai
apnoñ se kabhī maut judā kar nahīñ saktī
jo TuuT gayā haath vo siine pe dharā hai
ham zauq-e-samā.at se haiñ mahrūm vagarna
har qatra-e-shabnam meñ dhaḌakne kī sadā hai
vo sāmne aa.e haiñ kuchh is turfa adā se
ādāb mohabbat ke bhī dil bhuul gayā hai
dhaḌkā ye lagā hai ki sahar aa.e na aa.e
is ġham se sar-e-shām hī dil Duub rahā hai