Raza Hamdani

chaDhte hue dariya ki alamat nazar aae

Raza Hamdani

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1910-1994
chaḌhte hue dariyā kī alāmat nazar aa.e
ġhusse meñ vo kuchh aur qayāmat nazar aa.e
gum apne hī saa.e meñ haiñ haT jaa.eñ to shāyad
khoyā huā apnā qad-o-qāmat nazar aa.e
kyā qahr hai har siine meñ ik hashr bapā hai
ik-ādh girebāñ to salāmat nazar aa.e
kūche se tire nikle to sab shahr thā dushman
har aañkh meñ kuchh sañg malāmat nazar aa.e
ham kaise ye samjheñ ki pashemān hai qātil
chehre pe na jab harf-e-nadāmat nazar aa.e
ham morid-e-ilzām samajhte rahe un ko
dekhā to 'razā' ham hī malāmat nazar aa.e
Top Urdushayar.com