Raza Hamdani

ye daur-e-masarrat ye tewar tumhaare

Raza Hamdani

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1910-1994
ye daur-e-masarrat ye tevar tumhāre
ubharne se pahle na Dūbeñ sitāre
bhañvar se laḌo tund lahroñ se uljho
kahāñ tak chaloge kināre kināre
ajab chiiz hai ye mohabbat kī baazī
jo haare vo jiite jo jiite vo haare
siyah nāgineñ ban ke Dastī haiñ kirneñ
kahāñ koī ye roz-e-raushan guzāre
safīne vahāñ Duub kar hī rahe haiñ
jahāñ hausle nā-ḳhudāoñ ne haare
ka.ī inqilābāt aa.e jahāñ meñ
magar aaj tak din na badle hamāre
'razā' sail-e-nau kī ḳhabar de rahe haiñ
ufuq ko ye chhūte hue tez dhāre
Top Urdushayar.com