junūñ kā raaz mohabbat kā bhed pā na sakī
hamārā saath ye duniyā magar nibhā na sakī
bikhar gayā huuñ fazāoñ meñ bū-e-gul kī tarah
mire vajūd meñ vus.at mirī samā na sakī
har ik qadam pe salīb-āshnā mile mujh ko
ye kā.enāt vafāoñ kā baar uThā na sakī
paTak ke rah ga.ī sar apnā rahguzāroñ se
mirī sadā dil-e-kohsār meñ samā na sakī
khulī havā kī fasīloñ meñ zindagī hai asiir
fareb-e-rañg se māhaul ko basā na sakī
razā tulū-e-sahar tak hai zindagī shab kī
ye baat ahl-e-sitam kī samajh meñ aa na sakī