har ek ghar kā darīcha khulā hai mere liye
tamām shahr hī dāman-kushā hai mere liye
har ek tarshe hue jism meñ hai aañch tirī
har ek but-kada ātish-kada hai mere liye
balā-e-jāñ haiñ ye gahrā.iyāñ samundar kī
azaab ishrat-e-qatra banā hai mere liye
maiñ ek khel samajhtā thā dard-e-ulfat ko
tamām umr kā ab ratjagā hai mere liye
bhigo bhigo gayā bādal kisī kī zulfoñ kā
sitam-zarīf ye kaalī ghaTā hai mere liye