band kar baiThe ho ghar radd-e-balā kī ḳhātir
ek khiḌkī to khulī rakhte havā kī ḳhātir
bheñT chaḌhte rahe har daur meñ insāñ kitne
fard-e-vāhid kī faqat jhūTī anā kī ḳhātir
har zabardast kā har zulm sahā hai maiñ ne
zindagī mahz tirī hirs-e-baqā kī ḳhātir
Dar jahannam kā na jannat kī havas hai mujh ko
sar jhukāyā hai faqat terī razā kī ḳhātir
maiñ siyah-baḳht jise maar ke apnoñ ne 'jalīl'
ġhair ko dosh diyā ḳhūn-bahā kī ḳhātir