nāḳhudā saḳht ḳhafā garche hamīñ par the bahut
ham ne bhī azm ke pahne hue zevar the bahut
tū ne dastak hī nahīñ dī kisī darvāze par
varna khulne ko to dīvār meñ bhī dar the bahut
uḌ nahīñ paayā agarche ye fazā bhī thī khulī
mere andar se mujhe jakḌe hue Dar the bahut
jiit terā hī muqaddar thī so tū jiit gayā
varna haare hue lashkar meñ sikandar the bahut
ḳhaam thī pyaas tirī varna to is dasht meñ bhī
ek eḌī ke ragaḌne pe samundar the bahut
chhin ga.ī aañkh se hairat ki tirī bastī meñ
har ghaḌī rañg badalte hue manzar the bahut
vaqt kī mauj hameñ paar lagātī kaise
ham ne hī jism se bāñdhe hue patthar the bahut