mire vajūd meñ vo is tarah samo jaa.e
jo mere paas hai sab kuchh usī kā ho jaa.e
abhī to aañkh ke andar hai tairtā aañsū
Tapak paḌā to na ghar hī kahīñ Dubo jaa.e
ḳhushī mile bhī to ye dil udaas rahtā hai
bas ek ḳhauf sā rahtā hai kuchh na ho jaa.e
tumheñ yaqīñ hai ki manzil hai do hī qadmoñ par
mujhe ye Dar hai kahīñ rāsta na kho jaa.e
tamām qāfila ab jāgtā hai is Dar se
kahīñ amiir na ġhaflat kī niiñd so jaa.e
kabhī to ḳhvāb bhī ta.abīr pā sakeñ apne
ye dā.eroñ kā safar jo tamām ho jaa.e