Jaleel Haider Lashari

parinde ja chuke hain kab ke ghonslon ko bhi

Jaleel Haider Lashari

parinde jā chuke haiñ kab ke ghoñsloñ ko bhī
batā.e rasta koī ham musāfiroñ ko bhī
maiñ jāntā huuñ ki ik din hameñ bichhaḌnā hai
sambhāl rakkhā jabhī to hai āñ.suoñ ko bhī
abhī to duur hai manzil ki kāTnī haiñ abhī
milī jo virse meñ haiñ un masāfatoñ ko bhī
kahāñ vo vaqt havāoñ pe hukm chaltā thā
aur ab ye haal taraste haiñ āhaToñ ko bhī
ajab haiñ ham ki banānā makān kachchā hī
aur ehtimām se ghar laanā bārishoñ ko bhī
sabhī lage haiñ jo paivand karne shāḳhoñ ko
kisī ne dekhā hai dīmak-zada jaḌoñ ko bhī
Top Urdushayar.com