Jaleel Haider Lashari

kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

Jaleel Haider Lashari

kaisī baḳhshish kā ye sāmān huā phirtā hai
shahr saarā hī pareshān huā phirtā hai
kaisā āshiq hai tire naam pe qurbāñ hai magar
terī har baat se anjān huā phirtā hai
ham ko jakḌā hai yahāñ jabr kī zanjīroñ ne
ab to ye shahr hī zindān huā phirtā hai
shab ko shaitān bhī māñge hai panāheñ jis se
sub.h vo sāhib-e-īmān huā phirtā hai
jaane kab kaun kise maar de kāfir kah ke
shahr kā shahr musalmān huā phirtā hai
Top Urdushayar.com