tum dhuup se na dhuup kī yalġhār se bacho
dīvār girne vaalī hai dīvār se bacho
rakh de na kaaT kar kahīñ saare vajūd ko
ḳhud-sāḳhta anāoñ kī talvār se bacho
vo dil kā TūTnā to koī vāqi.a na thā
ab TuuTe dil kī kirchiyoñ kī dhaar se bacho
aisā na ho ki bojh se sar hī na uTh sake
tum bhiik meñ milī huī dastār se bacho