milte haiñ muskurā ke agarche tamām log
mar mar ke jī rahe haiñ magar sub.h-o-shām log
ye bhuuk ye havas ye tanazzul ye vahshateñ
ta.amīr kar rahe haiñ ye kaisā nizām log
barbādiyoñ ne mujh ko bahut surḳh-rū kiyā
karne lage haiñ ab to mirā ehtirām log
inkār kar rahā huuñ to qīmat buland hai
bikne pe aa gayā to girā deñge daam log
is ahd meñ anā kī hifāzat ke vāste
phirte haiñ le ke haath meñ ḳhālī niyām log
baiThe haiñ ḳhud hī paañv meñ zanjīr Daal kar
hairāñ huuñ buzdilī ke haiñ kitne ġhulām log
kis kis kā e'tibār kareñ shahr meñ 'nafas'
chehre badal badal ke mile haiñ tamām log