ham aaj apnā muqaddar badal ke dekhte haiñ
tumhāre saath bhī kuchh duur chal ke dekhte haiñ
udhar charāġh bujhāne ko hai havā betāb
idhar ye zid ki havāoñ meñ jal ke dekhte haiñ
chalo phir aaj zamīnoñ meñ jazb ho jaa.eñ
chhalak ke aañkh se bāhar nikal ke dekhte haiñ
ye ishq koī balā hai junūn hai kyā hai
ye kaisī aag hai patthar pighal ke dekhte haiñ
ajiib pyaas hai dariyā se bujh nahīñ paa.ī
jo tum kaho to samundar nigal ke dekhte haiñ
vo gar nigāh milā le to mo.ajiza kar de
isī liye to udhar ham sambhal ke dekhte haiñ
badal ke ḳhud hī hamīñ rah ga.e zamāne meñ
chale the ghar se ki duniyā badal ke dekhte haiñ