na jaane kab kī dabī talḳhiyāñ nikal aa.iiñ
zarā sī baat thī aur barchhiyāñ nikal aa.iiñ
huā ye ham pe añdheroñ kī sāzishoñ kā asar
hamāre zehn meñ bhī khiḌkiyāñ nikal aa.iiñ
mujhe navāz dī maulā ne phuul sī beTī
mire hisāb meñ kuchh nekiyāñ nikal aa.iiñ
vo peḌ jis pe qazā ban ke bijliyāñ TūTīñ
sunā hai us pe harī pattiyāñ nikal aa.iiñ
badaltī rut meñ ye kam-zarfiyoñ kā aalam hai
biloñ se pañkh liye chyūñTiyāñ nikal aa.iiñ
ḳhudā ke vāste ab to safar tamām karo
ki ab qafas se bhī to uñgliyāñ nikal aa.iiñ
ye mo.ajiza hī to hai ai 'nafas' ki tūfāñ meñ
samundaroñ se sabhī kashtiyāñ nikal aa.iiñ