yuuñ nahīñ thā ki tīrgī kam thī
dhuup se apnī dostī kam thī
ḳhvāhishoñ ke hujūm the lekin
apne hisse meñ zindagī kam thī
tum na aa.e to bas huā itnā
kal charāġhoñ meñ raushnī kam thī
haañ vo hañs kar nahīñ milā phir bhī
us kī bātoñ meñ be-ruḳhī kam thī
ġham use bhī na thā bichhaḌne kā
merī āñkhoñ meñ bhī namī kam thī
kuchh taġhāful-mizāj thā saaqī
aur kuchh apnī pyaas bhī kam thī
us kā lahja to ḳhuub thā lekin
us ke sheroñ meñ shā.irī kam thī
kyuuñ mujhe de gayā vo sannāTe
kyā mire ghar meñ ḳhāmushī kam thī