sar-barahna bharī barsāt meñ ghar se nikle
ham bhī kis gardish-e-hālāt meñ ghar se nikle
din meñ kis kis ko batā.eñge masāfat kā sabab
bas yahī soch ke ham raat meñ ghar se nikle
sar pe ḳhud apnī salīboñ ko uThā.e ham log
ruuh kā bojh liye zaat meñ ghar se nikle
kab baras jaa.eñ in āñkhoñ kā bharosa hī nahīñ
kaun be-vaqt kī barsāt meñ ghar se nikle
Dar gayā dekh ke maiñ shahr-e-muhazzab kā chalan
kitne aaseb fasādāt meñ ghar se nikle
ain mumkin hai kī vo din meñ numāyāñ hī na ho
us sitāre se kaho raat meñ ghar se nikle
un kī fitrat meñ taġhāful bhī murkkab thā 'nafas'
ham hī nādāñ the jo jazbāt meñ ghar se nikle