junūñ hai zehn meñ to hausle talāsh karo
misāl-e-āb-e-ravāñ rāste talāsh karo
ye iztirāb ragoñ meñ bahut zarūrī hai
uTho safar ke na.e silsile talāsh karo
ye sar-zamīn safar ke liye bahut kam hai
chalo ufaq pe na.e marhale talāsh karo
jo thak ga.e ho ye bosīda zindagī jī kar
to zindagī ke alag zāviye talāsh karo
jo chāhte ho ki aḳhbār chal paḌe apnā
to surḳhiyoñ ke liye hādse talāsh karo
ye tañg-zauq adīboñ se ḳhush nahīñ hoñge
mushā.ere ke liye masḳhare talāsh karo
ḳhudā pe chhoḌ do ye kal koī paḌhe na paḌhe
na.ī ġhazal ke liye qāfiye talāsh karo