ghar kisī kā bhī ho jaltā nahīñ dekhā jaatā
ham se chup rah ke tamāsha nahīñ dekhā jaatā
terī azmat hai tū chāhe to samundar de de
māñgne vaale kā kaasa nahīñ dekhā jaatā
jab se sahrā kā safar kaaT ke ghar lauTā huuñ
tab se koī bhī ho pyāsā nahīñ dekhā jaatā
ye ibādat hai ibādat meñ siyāsat kaisī
is meñ ka.aba yā kalīsā nahīñ dekhā jaatā
mere lahje pe na jā qaul kā mafhūm samajh
baat sachchī ho to lahja nahīñ dekhā jaatā
aks ubhregā 'nafas' gard haTā de pahle
dhundhle ā.īne meñ chehra nahīñ dekhā jaatā