agar charāġh bhī āñdhī se Dar ga.e hote
to sochiye ki ujāle kidhar ga.e hote
ye mere dost mire chāra-gar mire ahbāb
na chheḌte to mire zaḳhm bhar ga.e hote
koī nigāh jo apnī bhī muntazir hotī
to ham bhī shaam Dhale apne ghar ga.e hote
agar vo merī ayādat ko aa gayā hotā
to dostoñ ke bhī chehre utar ga.e hote
hameñ to shauq-e-suḳhan ne sameT rakkhā hai
vagarna ham to kabhī ke bikhar ga.e hote
unheñ bhī mujh se mohabbat to hai 'nafas' lekin
maiñ pūchhtā to yaqīnan mukar ga.e hote