yuuñ to ḳhud apne hī saa.e se bhī Dar jaate haiñ log
hādse kaise bhī hoñ lekin guzar jaate haiñ log
jab mujhe dushvāriyoñ se rū-ba-rū honā paḌā
tab maiñ samjhā reza reza kyuuñ bikhar jaate haiñ log
sirf ġhāza hī nahīñ chehroñ kī ra.anā.ī kā raaz
shiddat-e-ġham kī tapish se bhī nikhar jaate haiñ log
mas.ale aa kar lipaT jaate haiñ bachchoñ kī tarah
shaam ko jab lauT kar daftar se ghar jaate haiñ log
har 'nafas' mar mar ke jiite haiñ tujhe ai zindagī
aur jiine kī tamannā meñ hī mar jaate haiñ log