Nafas Ambalvi

mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi

Nafas Ambalvi

Mumbai, Maharashtra, India

1961
maz.habī chiñgāriyoñ se bastiyāñ jal jā.eñgī
in charāġhoñ se na uljho uñgliyāñ jal jā.eñgī
aag gulshan meñ lagā dī aur sochā bhī nahīñ
in guloñ ke saath kitnī titliyāñ jal jā.eñgī
nafratoñ kī āñdhiyāñ yuuñ hī agar chaltī rahī
raakh meñ pinhāñ haiñ jo chiñgāriyāñ jal jā.eñgī
āsmānoñ ko jalā kar ek din pachhtāoge
jal uThā sāvan to saarī badliyāñ jal jā.eñgī
koī shor-o-ġhul na sannāToñ kā phir hogā vajūd
saath hī āvāz ke ḳhāmoshiyāñ jal jā.eñgī
yuuñ hī gar tanhā.iyoñ ke dā.ere baḌhte ga.e
aadmī rah jā.egā parchhā.iyāñ jal jā.eñgī
phir mohabbat ke alāvoñ ko nafas raushan karo
dhīmī dhīmī aañch meñ sab talḳhiyāñ jal jā.eñgī
Top Urdushayar.com