nigāh karne meñ lagtā hai kyā zamāna koī
payambarī na sahī dukh payambarāna koī
ik-ādh baar to jaañ vārnī hī paḌtī hai
mohabbateñ hoñ to bantā nahīñ bahāna koī
maiñ tere daur meñ zinda huuñ tū ye jāntā hai
hadaf to maiñ thā magar ban gayā nishāna koī
ab is qadar bhī yahāñ zulm ko panāh na do
ye ghar girā hī na de dast-e-ġhā.ebāna koī
ujāltā huuñ maiñ nālain-e-pā-e-laḳht-e-jigar
ki madrase ko chalā ilm kā ḳhazāna koī