tufail Dara

humse pahle bhi is jag mein pit hui hai man TuTe hain

tufail Dara

ham se pahle bhī is jag meñ piit huī hai man TuuTe haiñ
jaane kitne farhādoñ ke parbat parbat sar phūTe haiñ
pīt-nagar kī amar-kahānī terā jauban mere nain
baaqī is sansār ke bandhan merī sajnī sab jhūTe haiñ
ruup milan kī aashā le kar ham jīvan jīvan ghūme haiñ
sadiyoñ aash nivāsh ke lamhe shaam saveroñ se phūTe haiñ
birhā aur sanjog kathā haiñ māyā-jāl kī chanchaltā haiñ
varna premī man bandhan meñ ik duuje se kab chhoTe haiñ
rañgīñ sapne dekhne vaalo dekho tum nirdhan to nahīñ ho
mujh nirdhan ne jitne rañgīñ sapne dekhe sab jhūTe haiñ
Top Urdushayar.com