Haris Bilal

falak ke par uDanon ki had nahin hoti

Haris Bilal

1993
falak ke paar uḌānoñ kī had nahīñ hotī
vagarna dūsrī jānib bhī ik zamīñ hotī
agar rivāyatī mafhūm bhuul kar dekheñ
to kyā saver bhī kuchh shaam sī nahīñ hotī
vo is tarah mirī hotī nahīñ agar us kī
saheliyoñ meñ koī aur bhī hasīñ hotī
sadā.eñ toḌ na pātīñ ḳhumār kā aalam
agar vo aañkh mire ḳhvāb kī amiiñ hotī
vo mujh ko dekhne mere qarīb aayā hai
ye dhuñd saare mahīnoñ meñ kyuuñ nahīñ hotī
mujhe zamīn se paanī nahīñ milā 'hāris'
vagarna chhāñv bhī merī yahīñ kahīñ hotī
Top Urdushayar.com