ḳhizāñ ne phuul ko patthar ne aa.ine ko chunā
hamesha ham ne magar ek dūsre ko chunā
kisī bhī shakl meñ tajsīm karnā thā us ko
charāġh pahle bahut the so tāqche ko chunā
mirī nigāh meñ har chiiz ek jaisī thī
ki jab talak na kisī ek nazariye ko chunā
ḳhudā-e-lafz ne pahchān ke liye apnī
tumhāre saath hamāre mukālme ko chunā
ye phuul baaġh se bāhar na aa sake 'hāris'
ki Daalī tark bhī kī to kitābche ko chunā