sukūñ nasīb hai par apne ghar kī had tak hai
koī to hai ki jo dīvār-o-dar kī had tak hai
maiñ chāhtā huuñ ki duniyā meñ kuchh baḌā kar jā.ūñ
mirā zamāna magar ḳhair-o-shar kī had tak hai
abhī vo chhat pe khaḌe ho ke haath señkte haiñ
abhī ye aag faqat mere ghar kī had tak hai
koī tulūa huā aur dhuñd chhāne lagī
mujhe lagā thā añdherā sahar kī had tak hai
huzūr dūsrī manzil pe rahnā bhī dukh hai
ki ghar kā peḌ bhī mujh par samar kī had tak hai
mire paḌos ke ūñche chaubāroñ vaale log
mujhe batāte haiñ duniyā nazar kī had tak hai