Haris Bilal

ai bagule ke libaade mein samai hui ret

Haris Bilal

1993
ai bagūle ke libāde meñ samā.ī huī ret
saath rakh le mujhe ai vajd meñ aa.ī huī ret
taaki sūraj qarīñ aa.e to ye sahrā ho jaa.e
sau samundar tale us ne hai bichā.ī huī ret
baiThe baiThe mujhe chaurāhā banā detī hai
chaar samtoñ se mirī samt uḌaa.ī huī ret
sham-e-bīnā.ī muñDeroñ kā safar kartī rahī
dil uḌātā rahā āñkhoñ meñ basā.ī huī ret
ghar kī buniyād meñ ārām nahīñ kartī hai
ai mire dost ye Tīloñ se uThā.ī huī ret
har chamaktā huā zarra hai sitāra 'hāris'
āsmāñ hai mire qadmoñ meñ bichā.ī huī ret
Top Urdushayar.com