Haris Bilal

apna milan kisi ki dili bad-dua bhi hai

Haris Bilal

1993
apnā milan kisī kī dilī bad-duā bhī hai
ya.anī hamārā vasl hamārī sazā bhī hai
al-muḳhtasar tumhārī mahak oḌhte hue
ehsās ho gayā ki use phailnā bhī hai
is par Thahar sake to Thahar chal sake to chal
ye dil qayām-gāh bhī hai rāsta bhī hai
achchhā tirī nazar meñ bahut muḳhtalif huuñ maiñ
ya.anī tirī nazar meñ koī dūsrā bhī hai
saarī hisoñ kī Dor samā.at ko sauñp kar
us dil pe kaan rakh ki ḳhudā boltā bhī hai
tujh se ḳhushī ġhamī kā tafarqe miTā ki tū
ik ḳhush-gavār yaad bhī hai sāneha bhī hai
har ek dāstān ke har ek moḌ par
'hāris' ye sochnā kabhī aisā huā bhī hai
Top Urdushayar.com