vo darmiyān se niklā to ye khulā mujh par
ki ho ga.e haiñ musallat ka.ī ḳhudā mujh par
adhūre naqsh vagarna kashish nahīñ rakhte
kiyā gayā hai koī ḳhaas tajraba mujh par
hamāre beach takallum kī ek sūrat thī
ki husn tujh pe utartā aur aa.ina mujh par
biThā diyā gayā pahle baḌe baḌoñ meñ mujhe
phir ek camera focus kiyā gayā mujh par
vo chāñd hai use zebā hai daaġh māthe par
maiñ rāsta huuñ so paḌtā hai naqsh-e-pā mujh par
maiñ ik adā se daraḳhtoñ ke beach Thahrā rahā
phir ek roz koī naam likh gayā mujh par