Zia Fatehabadi

go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
go aaj añdherā hai kal hogā charāġhāñ bhī
taḳhrīb meñ shāmil hai ta.amīr kā sāmāñ bhī
maz.har tire jalvoñ ke māman mirī vahshat ke
kohsār-o-gulistāñ bhī sahrā-o-bayābāñ bhī
dam toḌtī maujeñ kyā sāhil kā pata deñgī
Thahrī huī kashtī hai ḳhāmosh hai tūfāñ bhī
majbūr-e-ġham-e-duniyā dil se to koī pūchhe
ehsās kī rag meñ hai ḳhār-e-ġham-e-jānāñ bhī
buġhz-o-hasad-o-nafrat nākāmī-o-mahrūmī
insānoñ kī bastī meñ kyā hai koī insāñ bhī
dīvāna-e-ulfat ko dar se tire miltā hai
har zaḳhm kā marham bhī har dard kā darmāñ bhī
letī hai jab añgḌā.ī bedār kiran koī
hotā hai 'ziyā' ḳhud hī raqsāñ bhī ġhazal-ḳhvāñ bhī
Top Urdushayar.com