Zia Fatehabadi

aankh se aansu Dhalka hota

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
aañkh se aañsū Dhalkā hotā
to phir sūraj ubhrā hotā
kahte kahte ġham kā fasāna
kaTtī raat saverā hotā
kashtī kyuuñ sāhil par Duubī
maujeñ hotīñ dariyā hotā
jo garjā pyāsī dhartī par
kaash vo bādal barsā hotā
phūloñ meñ chhupne vāloñ ko
kāñToñ meñ to DhūñDā hotā
tujh ko paanā sahl nahīñ hai
sahl jo hotā to kyā hotā
apne sau begāne hote
ek yagāna apnā hotā
pūchh 'ziyā' ye ahl-e-dil se
pyaar nā hotā to kyā hotā
Top Urdushayar.com