nazar nazar se milānā koī mazāq nahīñ
milā ke aañkh churānā koī mazāq nahīñ
pahāḌ kaaT to saktā hai tesha-e-farhād
pahāḌ sar pe uThānā koī mazāq nahīñ
uḌāneñ bharte raheñ laakh tā.irān-e-ḳhayāl
sitāre toḌ ke laanā koī mazāq nahīñ
lahū lahū hai jigar daaġh daaġh hai siina
ye do diloñ kā fasāna koī mazāq nahīñ
havā.eñ aaj bhī āvāra o pareshāñ haiñ
mahak guloñ kī uḌānā koī mazāq nahīñ
hazāroñ karvaTeñ lete haiñ āsmān o zamīñ
gire huoñ ko uThānā koī mazāq nahīñ
ye aur baat bulā.eñ na apnī mahfil meñ
magar 'ziyā' ko bhulānā koī mazāq nahīñ