Zia Fatehabadi

lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
lo aaj samundar ke kināre pe khaḌā huuñ
ġharqāb safīnoñ ke sisakne kī sadā huuñ
ik ḳhāk-ba-sar barg huuñ Tahnī se judā huuñ
joḌegā mujhe kaun ki maiñ TuuT gayā huuñ
ab bhī mujhe apnā.e na duniyā to karūñ kyā
māhaul se paimān-e-vafā bāñdh rahā huuñ
mustaqbil-e-but-ḳhāna kā hāfiz hai ḳhudā hī
har but ko ye da.avā hai ki ab maiñ hī ḳhudā huuñ
afkār-e-do-ālam na jhiñjhoḌeñ mujhe is vaqt
apne hī ḳhayālāt kī daldal meñ phañsā huuñ
manzil kā to irfān nahīñ itnī ḳhabar hai
jis samt se aayā thā usī samt chalā huuñ
muddat huī guzrā thā idhar se mirā saaya
kab se yūñhī fōtpath pe ḳhāmosh paḌā huuñ
huuñ aap kā bas mujh ko hai itnā hī ġhanīmat
is se koī matlab nahīñ achchhā ki burā huuñ
pahnāo mire paañv meñ zanjīr-e-bū-e-gul
āvāra chaman meñ sifat-e-bād-e-sabā huuñ
chheḌo na mujhe jān-e-'ziyā' fasl-e-junūñ meñ
kyā maiñ bhī koī naġhma-e-andoh-rubā huuñ
Top Urdushayar.com