yuuñ hasratoñ kī gard meñ thā dil aTā huā
jaise daraḳht se koī pattā girā huā
ho hī gayā hai nabz-shanās-e-ġham-e-jahāñ
siine meñ ishq ke mirā dil kāñptā huā
miltā surāġh-e-ḳhāk mujhe mere saa.e kā
har samt zulmatoñ kā thā jañgal ugā huā
kal raat ḳhvāb meñ jo muqābil thā aa.ina
merā hī qad mujhe nazar aayā baḌhā huā
jaane bhī do vo chāñd nahīñ hogā koī aur
pāmāl aadmī jo huā chāñd kyā huā
bāhar ke shor-o-ġhul hī se shāyad vo bol uThe
baiThā hai kab se chup koī andar chhupā huā
panchhī uḌā to ḳhatm bhī ho jā.egā 'ziyā'
sāñsoñ ke āne-jāne kā tāñtā bañdhā huā