Zia Fatehabadi

dil apna said-e-tamanna hai dekhiye kya ho

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
dil apnā said-e-tamannā hai dekhiye kyā ho
havas ko ishq kā saudā hai dekhiye kyā ho
kisī ke lamha-e-ulfat kī yād-e-kaif-āvar
dil-e-hazīñ kā sahārā hai dekhiye kyā ho
bachā bachā ke rakhā thā jise vahī kashtī
supurd-e-mauja-e-dariyā hai dekhiye kyā ho
sukūt-e-but-kada-e-āzarī se tañg aa kar
ḳhudā ko maiñ ne pukārā hai dekhiye kyā ho
shakeb-o-sabr kā paimāna TūTne par bhī
vahī vafā kā taqāzā hai dekhiye kyā ho
hazār baar hī dekhā hai sochne kā ma.aal
hazār baar hī sochā hai dekhiye kyā ho
'ziyā' jo pī ke na bahkā vo rind-e-mai-ḳhāna
piye baġhair bahaktā hai dekhiye kyā ho
Top Urdushayar.com