Zia Fatehabadi

mere junun mein meri wafa mein KHulus ki jab kami milegi

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
mire junūñ meñ mirī vafā meñ ḳhulūs kī jab kamī milegī
chaman giraft-e-ḳhizāñ meñ hogā bahār ujḌī huī milegī
javāñ hai himmat hai azm-e-mohkam nazar uThā.eñ to ahl-e-dānish
alam ke tārīk ufuq pe raushan shuā-e-ummīd bhī milegī
tasavvur us māh-rū kā hogā kabhī to dil meñ ziyā-ba-dāman
kabhī to zulmat-kade meñ ham ko khulī huī chāñdnī milegī
mirā pata pūchh kar na toḌo sukūt merā jumūd merā
buland mahloñ meñ rahne vaalo kahāñ mirī jhoñpaḌī milegī
ye kor-chashmī kā hai tamāshā ki zulmatoñ kī taheñ jamī haiñ
nazar se parda haTā ke dekheñ yahāñ vahāñ raushnī milegī
rivāyatī paikar-e-ġhazal meñ bharā hai rañg-e-jadīd maiñ ne
'ziyā' mire sher meñ muhayyā koī na.ī baat hī milegī
Top Urdushayar.com