Zia Fatehabadi

husn hai mohabbat hai mausam-e-bahaaran hai

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
husn hai mohabbat hai mausam-e-bahārāñ hai
kā.enāt raqsāñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai
ishratoñ ke mutalāshī ġham se kyuuñ gurezāñ hai
tīrgī ke parde meñ raushnī kā sāmāñ hai
giit haiñ javānī hai abr hai bahāreñ haiñ
muztarib idhar maiñ huuñ tū udhar pareshāñ hai
dhuup ho ki bārish ho tū hai monis-o-hamdam
mujh pe ye tirā ehsāñ ai ġham-e-farāvāñ hai
rind buḳhl-e-sāqī par kis qadar the kal barham
mai-kada hai aaj apnā aur tañg dāmāñ hai
uf do-rañgī-e-duniyā uf tazād kā aalam
kufr ke ujāle haiñ tīrgī-e-īmāñ hai
be-naqāb dekhā thā ḳhvāb meñ unheñ ik shab
aaj tak nigāhoñ meñ ai 'ziyā' charāġhāñ hai
Top Urdushayar.com