Zia Fatehabadi

farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986
farishte imtihān-e-bandagī meñ ham se kam nikle
magar ik jurm kī pādāsh meñ jannat se ham nikle
ġham-e-duniyā-o-dīñ un ko na fikr-e-nek-o-bad un ko
mohabbat karne vaale be-niyāz-e-besh-o-kam nikle
ġharaz ka.abe se thī jin ko na thā matlab kalīsā se
had-e-dair-o-haram se bhī vo aage do-qadam nikle
sahar kī manzil-e-raushan pe jā pahuñche vo dīvāne
shab-e-tārīk meñ jo nuur kā le kar alam nikle
mah-o-ḳhurshīd ban kar āsmānoñ par hue raushan
do aañsū vo mirī āñkhoñ se jo shām-e-alam nikle
sukūt-e-shab meñ ham ne ek rañgīñ ḳhvāb dekhā thā
masarrat jāvedāñ hogī agar ta.abīr-e-ġham nikle
na miltī hoñ sharāb-e-zindagī kī talḳhiyāñ jin meñ
sunā hai vo 'ziyā' ke dil se aise sher kam nikle
Top Urdushayar.com