rag-e-ehsās meñ nashtar TuuTā
haath se chhūT ke sāġhar TuuTā
TūTnā thā dil-e-nāzuk ko na pūchh
kab kahāñ kis liye kyūñ-kar TuuTā
siina dhartī kā laraz uTThā hai
āsmāñ se koī aḳhtar TuuTā
jhuk gayā pā-e-butāñ par lekin
pattharoñ se na mirā sar TuuTā
saḳht-jānī mirī tauba tauba
qatl karte the ki ḳhanjar TuuTā
ashk palkoñ se girā yuuñ jaise
ḳhushk Tahnī se gul-e-tar TuuTā
ai 'ziyā' ho ke rihā zindāñ se
uḌne paayā bhī na thā par TuuTā