junūñ pe aql kā saayā hai dekhiye kyā ho
havas ne ishq ko gherā hai dekhiye kyā ho
ga.ī bahār magar aaj bhī bahār kī yaad
dil-e-hazīñ kā sahārā hai dekhiye kyā ho
ḳhamosh sham-e-mohabbat hai phir bhī husn kī zau
guloñ se tā-ba-surayyā hai dekhiye kyā ho
shab-e-firāq kī baḌhtī huī siyāhī meñ
ḳhudā ko maiñ ne pukārā hai dekhiye kyā ho
vahī jafāoñ kā aalam vahī hai mashq-e-sitam
vahī vafā kā taqāzā hai dekhiye kyā ho
ġham-e-butāñ meñ kaTī umr aur ab dil ko
shikāyat-e-ġham-e-duniyā hai dekhiye kyā ho
hazār baar hī dekhā hai sochne kā ma.aal
hazār baar hī sochā hai dekhiye kyā ho
mirā shabāb tirā husn aur saya-e-abr
sharāb-o-sher muhayyā hai dekhiye kyā ho
'ziyā' jo pī ke na bahkā vo rind-e-mastī-kosh
piye baġhair bahaktā hai dekhiye kyā ho