Siraj Muneer

wahi sitara jo bujh gaya ham-safar tha mera

Siraj Muneer

vahī sitāra jo bujh gayā ham-safar thā merā
usī kī samt ek sabz sāhil pe ghar thā merā
maiñ is zamīñ par burīda baazū sisak rahā huuñ
jo uḌ rahā thā havā meñ vo ek par thā merā
vo haath mere jinhoñ ne talvār saunt lī thī
jo ḳhaak o ḳhuuñ meñ luthaḌ gayā thā vo sar thā merā
zamīñ yahāñ se vahāñ talak sabz ho rahī thī
magar jo be-barg-o-bar khaḌā thā shajar thā merā
vahāñ ke ghar to fanā ne ḳhāmosh kar diye the
ajiib sunsān bastiyoñ se guzar thā merā
Top Urdushayar.com