Siraj Muneer

dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya

Siraj Muneer

dil se ab to naqsh-e-yād-e-raftagāñ bhī miT gayā
is ḳharābe se bil-āḳhir ye nishāñ bhī miT gayā
kis qadar ḳhāmosh thā maidāñ sar-e-shām-e-shikast
marhabā ke saath shor-e-al-amāñ bhī miT gayā
pahle to sāya-fagan thā ḳhaak ho jaane kā ḳhauf
phir diloñ se rañj-e-umr-e-rā.egāñ bhī miT gayā
TūTtā jaatā hai ab tārāj ḳhvāboñ kā tilism
aañkh se aks-e-nigār-e-mehrbāñ bhī miT gayā
zindagī aur maut meñ ik farq thā ham se 'munīr'
miT ga.e ham farq un ke darmiyāñ bhī miT gayā
Top Urdushayar.com