kyā koī tasvīr ban saktī hai sūrat ke baġhair
phir kisī se kyuuñ mile koī zarūrat ke baġhair
dushmanī to chāhne kī intihā kā naam hai
ye kahānī bhī adhūrī hai mohabbat ke baġhair
terī yādeñ ho ga.iiñ jaise muqaddas āyateñ
chain aatā hī nahīñ dil ko tilāvat ke baġhair
dhuup kī har saañs ginte shaam tak jo aa ga.e
chhāñv meñ vo kyā ji.eñ jiine kī aadat ke baġhair
bach gayā dāman agar mere lahū ke daaġh se
vo mirā qātil to mar jā.egā shohrat ke baġhair
us kī sardārī se ab inkār karnā chāhiye
raushnī detā nahīñ sūraj siyāsat ke baġhair
husn kī dūkān ho ki ishq kā bāzār ho
yaañ koī saudā nahīñ hai dil kī daulat ke baġhair
shabnamī chehra chhupā.ūñ kaise bachchoñ se 'fahīm'
shaam aatī hī nahīñ ghar meñ tahārat ke baġhair